KHushk dariya paDa hai KHwahish ka
KHwab dekha tha hum ne barish ka
mustaqil dil jalae rakhta hai
hai ye mausam hawa ki sazish ka
us se kahne ko to bahut kuchh hai
waqt milta nahin guzarish ka
koi us se to kuchh nahin kahta
bo raha hai jo beach ranjish ka
pa-ba-zanjir chal rahe hain jo hum
ye bhi pahlu hai ek numaish ka
phul kal the to aaj patthar hain
ye bhi andaz hai sataish ka
main ne aankhon se guftugu kar li
ye hunar hai zaban ki bandish ka
khil rahe hain gulab zaKHmon ke
shukriya aap ki nawazish ka
jari mashq-e-suKHan rahe 'ejaz'
kuchh sila to milega kawish ka
Ghazal
KHushk dariya paDa hai KHwahish ka
Ejaz Rahmani