KHushk dararon wala dariya
zer zamin hai baala dariya
us ko baDa ras aaya dariya
main aur des nikala dariya
lahron ki tahrir kinare
ret pe likkha qissa dariya
aao ye afwah uDaen
hum ne KHwab mein dekha dariya
tah mein aksan naqsh-o-manazir
upar shahr ke bahta dariya
aaj bhi tere shahr hain pyase
ab bhi dur hai KHema dariya
pul par ghota-KHor pale hain
sikka bhaari halka dariya
dur charagh ki lau par zinda
sarma ka barfila dariya
apna saya DhunD raha hun
sham hai pal-bhar tham ja dariya
Ghazal
KHushk dararon wala dariya
Mehdi Jafar