KHushk daman pe barasne nahin deti mujh ko
meri ghairat kabhi rone nahin deti mujh ko
ek KHwahish hai jo muddat se gala ghonTe hai
ek tamanna hai jo marne nahin deti mujh ko
zindagi roz naya dard sunati hai magar
apne aansu kabhi chhune nahin deti mujh ko
dil to ahbab se milne ko bahut chahta hai
muflisi ghar se nikalne nahin deti mujh ko
kuchh to kanon ko satata hai ye tanhai ka shor
kuchh meri KHamushi sone nahin deti mujh ko
fikr ghurbat ki mere pichhe paDi ho jaise
chain se luqma nigalne nahin deti mujh ko
le to aati hai zarurat mujhe bazaron tak
ek ana hai ki jo bikne nahin deti mujh ko
itna ehsan to karti hai 'raza' mujh pe hayat
TuT jaun to bikharne nahin deti mujh ko
Ghazal
KHushk daman pe barasne nahin deti mujhko
Raza Mauranvi