اردو हिंदी
KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja | Shaahi Shayari
KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja

Ghazal

KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja

Muzaffar Hanfi

;

KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja
ai ghubar-e-arzu ta-hadd-e-manzar phail ja

motiyon ki aabruen luTne wale bahut
sip ke qaidi samundar-dar-samundar phail ja

yun palak par jagmagana do ghaDi ka aish hai
raushni ban kar mere andar hi andar phail ja

aa mere sine se lag ja tu agar sailab hai
aur KHushbu hai to ja basti mein ghar ghar phail ja

naqsh-e-pa pamal rahon par laga dega tujhe
raste mein gard ki manind uD kar phail ja