KHushi yaad aai na gham yaad aae
mohabbat ke naz o niam yaad aae
ye kyun dam-ba-dam hichkiyan aa rahi hain
kiya yaad tum ne ki hum yaad aae
gulon ki rawish dekh kar gulsitan mein
shahidon ke naqsh-e-qadam yaad aae
buron ka bahut nam japti hai duniya
jo achchhe ziyaada the kam yaad aae
dam-e-naza junhi ajal muskurai
achanak tumhaare karam yaad aae
musibat mein bhi bar-ha 'wajd' mujh ko
KHuda jaanta hai sanam yaad aae
Ghazal
KHushi yaad aai na gham yaad aae
Sikandar Ali Wajd