اردو हिंदी
KHushi se zist ka har dukh uThae jate hain | Shaahi Shayari
KHushi se zist ka har dukh uThae jate hain

Ghazal

KHushi se zist ka har dukh uThae jate hain

Mubeen Mirza

;

KHushi se zist ka har dukh uThae jate hain
hum ahl-e-dil ki riwayat nibhae jate hain

junun ki rah mein bujh bujh ke ab bhi diwane
charagh shola-e-jaan se jalae jate hain

wo fard-e-jurm hi ai munsifo nahin meri
mujhe ye faisle jis par sunae jate hain

talluqat mein do tarfa sard-mehri hai
bas ek waza ko donon nibhae jate hain

KHushi to DhunDe bhi is daur mein nahin milti
ye kaun log hain jo muskurae jate hain