KHushi se apna ghar aabaad kar ke
bahut roenge tum ko yaad kar ke
KHayal o KHwab bhi hain sar jhukae
ghulami baKHsh di aazad kar ke
jo kahne ke liye hi aabru thi
wo izzat bhi gai fariyaad kar ke
parinde sar pe ghar rakkhe hue hain
mujhe chhoDenge ye sayyaad kar ke
yahan waise bhi kya aabaad rahta
ye dhaDka to gaya barbaad kar ke
kahan hamdardiyon ki dad milti
bahut achchhe rahe bedad kar ke
use bhi kya pata tha haal apna
taDapta hai sitam ijad kar ke
Ghazal
KHushi se apna ghar aabaad kar ke
Zaheer Rahmati