KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka
ki dhyan hi na raha gham ki be-libasi ka
chamak uThe hain jo dil ke kalas yahan se abhi
guzar hua hai KHayalon ki dew-dasi ka
guzar na ja yunhi ruKH pher kar salam to le
hamein to der se dawa hai ru-shanasi ka
KHuda ko man ki tujh lab ke chumne ke siwa
koi ilaj nahin aaj ki udasi ka
gire paDe hue patton mein shahr DhunDta hai
ajib taur hai is jangalon ke basi ka
Ghazal
KHushi mili to ye aalam tha bad-hawasi ka
Zafar Iqbal