اردو हिंदी
KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun | Shaahi Shayari
KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun

Ghazal

KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun

Noorul Ain Qaisar Qasmi

;

KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun
use apni zarurat kar ke dekhun

zamana kah raha hai jaane kya kya
kabhi main bhi mohabbat kar ke dekhun

nazar mein ab yahi ek rasta hai
ki KHwabon ko haqiqat kar ke dekhun

chale hain aasman chhune kai log
zara main bhi to himmat kar ke dekhun

KHud apne aap se ek rose 'qaisar'
main apni hi shikayat kar ke dekhun