KHushi ki chehre pe gham ka jalal sath liye
hayat milti hai par intiqal sath liye
bulandiyon pe sabhi aa ke bhul jate hain
uruj aata hai lekin zawal sath liye
wo KHun aankhon se rona amal purana hai
ab ashk bahte hain aankhon ki khaal sath liye
kai jami hui parten udheD Dalega
ye mujh mein kaun hai utra kudal sath liye
KHabar ye ghol na de machhliyon ko pani mein
machhere aaenge kal subh jal sath liye
yahan pe chhoD diya to jawab Das lenge
main lauT jaunga apna sawal sath liye
wo peT ke liye kafi nahin hai ab 'fani'
tu ja raha hai jo rizq-e-halal sath liye

Ghazal
KHushi ki chehre pe gham ka jalal sath liye
Fani Jodhpuri