KHushi ke waqt se daur-e-malal se guzre
teri talash mein hadd-e-KHayal se guzre
hamein to asl mein tanha tujhi se milna tha
so ek nazar mein tere KHadd-o-KHal se guzre
bujhe bujhe se hain ghunchon ki zindagi ke charagh
saba se kah do chaman mein KHayal se guzre
tere faqir mohabbat ke ek lamhe mein
hazar bar uruj-o-zawal se guzre
junun ki fitrat-e-ali pe bar hai ai dost
wo bandagi jo maqam-e-sawal se guzre
kahin na daman-e-adab-e-ishq ko chhoDa
firaq hi ki tarah hum visal se guzre
dil-o-nazar ko KHabar tak nahin hui 'maikash'
kuchh is tarah wo hudud-e-KHayal se guzre

Ghazal
KHushi ke waqt se daur-e-malal se guzre
Masood Maikash Muradabadi