KHushi hai sab ko ki operation mein KHub nishtar ye chal raha hai
kisi ko is ki KHabar nahin hai mariz ka dam nikal raha hai
fana isi rang par hai qaim falak wahi chaal chal raha hai
shikasta o muntashir hai wo kal jo aaj sanche mein Dhal raha hai
ye dekhte ho jo kasa-e-sar ghurur-e-ghaflat se kal tha mamlu
yahi badan naz se pala tha jo aaj miTTi mein gal raha hai
samajh ho jis ki baligh samjhe nazar ho jis ki wasia dekhe
abhi yahan KHak bhi uDegi jahan ye qulzum ubal raha hai
kahan ka sharqi kahan ka gharbi tamam dukh sukh hai ye masawi
yahan bhi ek ba-murad KHush hai wahan bhi ek gham se jal raha hai
uruj-e-qaumi zawal-e-qaumi KHuda ki qudrat ke hain karishme
hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political raha hai
maza hai speech ka dinner mein KHabar ye chhapti hai pioneer mein
falak ki gardish ke sath hi sath kaam yaron ka chal raha hai
Ghazal
KHushi hai sab ko ki operation mein KHub nishtar ye chal raha hai
Akbar Allahabadi