اردو हिंदी
KHushi gar hai to kya matam nahin hai | Shaahi Shayari
KHushi gar hai to kya matam nahin hai

Ghazal

KHushi gar hai to kya matam nahin hai

Hans Raj Sachdev u0027hazii.nu0027

;

KHushi gar hai to kya matam nahin hai
shagufta gul pe kya shabnam nahin hai

kiya hai yaad us ne aaj shayad
mizaj-e-zindagi barham nahin hai

kise apna kahen duniya mein yarab
koi monis koi hamdam nahin hai

tere jalwon ki jurat kaise hogi
meri aankhon mein itna dam nahin hai

nazar un ki paDi hai jab se mujh par
meri qismat mein koi gham nahin hai

KHushi ke aankh mein bhar aae aansu
wagarna chashm meri nam nahin hai

mujhe le chal 'hazin' us anjuman mein
jahan mahram hai na-mahram nahin hai