KHushi daman-kashan hai dil asir-e-gham hai barson se
hamari zindagi ka ek hi aalam hai barson se
sitam hai aansuon ka ponchhne wala nahin koi
hamari aankh bhi tar aastin bhi nam hai barson se
wazahat chahta hun tujh se tere is ishaare ki
jo paiham meri jaanib hai magar mubham hai barson se
rahe hum sath bhi barson tere kahlae bhi lekin
tujhe apna na pae ye KHalish ye gham hai barson se
kisi se muddaa-e-dil kaha ho to zaban kaT jae
bas ek tu hai jo dil ke raaz ka mahram hai barson se
hamari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas
ye shiraaza bhi dekha jae to barham hai barson se
KHushi hai ai 'waqar' ab aur na arman-e-KHushi baqi
agar kuchh hai to bas aasudgi-e-gham hai barson se

Ghazal
KHushi daman-kashan hai dil asir-e-gham hai barson se
Waqar Manvi