KHushi bhi ab sarapa gham lage hai
tawajjoh aap ki kuchh kam lage hai
koi hamdam nahin duniya mein lekin
jise dekho wahi hamdam lage hai
main hun majbur apne dil se mujh ko
paraya gham bhi apna gham lage hai
bahaaren hain chaman mein gul ba-daman
KHizan ka sa magar mausam lage hai
jidhar dekho udhar shabnam ke aansu
chaman kya hai saf-e-matam lage hai
har ek majbur se kah do ye 'asad'
har ek maghrur ka sar KHam lage hai
Ghazal
KHushi bhi ab sarapa gham lage hai
Asad Badayuni