KHushi apni na ab to lauTti malum hoti hai
unhen mil kar unhen ki ho gai malum hoti hai
asiran-e-qafas rone se kya sayyaad chhoDega
kisi ko kab kisi ki bekasi malum hoti hai
hamari sada-lauhi dekhiye rah-e-mohabbat mein
kisi ki dushmani bhi dosti malum hoti hai
agar tum ne na pahchana to kya ab ranj-e-furqat mein
mujhe apni bhi surat ajnabi malum hoti hai
chale aao meri tanhaiyon par KHandan hain anjum
barasti aag si ye chandni malum hoti hai
kahin par baiTh kar aaram ki lo sans na-mumkin
mujhe ek qahr si ye zindagi malum hoti hai
hazaron manzilen tai ho gain is ke tufail 'afat'
meri rahbar meri diwangi malum hoti hai

Ghazal
KHushi apni na ab to lauTti malum hoti hai
Lalan Chaudhary