KHushbu se ho saka na wo manus aaj tak
kanTon ke nashtaron mein hai malbus aaj tak
kirnon ki dastan sunaega ek din
KHamosh jhulta hai jo fanus aaj tak
basti mein baT rahi thi hansi bhi hisab se
shashdar khaDa hai sochta kanjus aaj tak
lafzon ki narmiyon se khula chand is tarah
karti hun us ki raushni mahsus aaj tak
rang-e-chaman se wasta us ko kahan raha
raqs-e-junun mein gum hai jo taus aaj tak
kajla gai hai raushni garche charagh ki
lekin nahin hun aas se mayus aaj tak
kis tarah aadmi ka pata paegi 'sadaf'
jangal mein shar ke hai ghira jasus aaj tak
Ghazal
KHushbu se ho saka na wo manus aaj tak
Sadaf Jafri