KHushbu sa badan yaad na sanson ki hawa yaad
ujDe hue baghon ko kahan baad-e-saba yaad
aati hai pareshani to aata hai KHuda yaad
warna nahin duniya mein koi tere siwa yaad
jo bhule se bhule hain magar tere alawa
ek bichhDa hua dil hamein aata hai sada yaad
main to hun ab ek umr se pachhtawon ki zad mein
kya tum ko bhi aati hai kabhi apni KHata yaad
mumkin hai bhala kaise ilaj-e-gham-e-jaanan
jab koi dawa yaad na hai koi dua yaad
Ghazal
KHushbu sa badan yaad na sanson ki hawa yaad
Farhat Abbas Shah