KHushbu hai shararat hai rangin jawani hai
yaadon ke paristan mein shishe ki kahani hai
mazi ki haqiqat hai is daur mein afsana
sita bhi kahani hai mariyam bhi kahani hai
dushman se KHatar walo lamhon pe nazar rakhna
har lamha-e-hasti bhi talwar ka pani hai
honTon ka mahak uThna aanchal ka Dhalak jaana
in pak gunahon ki tariKH purani hai
is shoKH ke matawalo rag rag se lahu mango
patthar pe gham-e-dil ki taswir banani hai
barsat mein bhiga hai doshiza badan us ka
naseh ko bhi bulwa lo ab aag mein pani hai
tariKH-e-badayun mein maruf suKHan-war hain
'saifi' ki nazar lekin girwida-e-'fani' hai
Ghazal
KHushbu hai shararat hai rangin jawani hai
Saifi Premi