KHush-talai mein shams o qamar donon ek hain
din raat ka to farq hai par donon ek hain
KHwahi mein roun laKHt-e-jigar KHwah ashk sirf
aankhon mein meri lal-o-gohar donon ek hain
dijur mein kise hai sapid o siyah ka farq
zindaniyon ko sham o sahar donon ek hain
kahne ko garche hath juda hain mere wale
hone ko us ka tauq o kamar donon ek hain
KHwahi tu chashm-e-chup se dar aa KHwah rast hai
aane ko ghar mein dil ke ye dar donon ek hain
jo qulzum-e-fana ka musafir hua use
baad-e-murad o mauj-e-KHatar donon ek hain
main jal raha hun un ke to hathon se kuchh na puchh
ai 'mushafi' ye dida-e-tar donon ek hain
Ghazal
KHush-talai mein shams o qamar donon ek hain
Mushafi Ghulam Hamdani