KHush-rang kis qadar KHas-o-KHashak the kabhi
zarre bhi zeb-o-zinat-e-aflak the kabhi
ab DhunDte hain rah-e-taKHatub ke silsile
kya hum wahi hain tum se jo bebak the kabhi
go de sake na soz-e-darun ka hamare sath
ye dida-ha-e-KHushk bhi namnak the kabhi
kuchh aur bhi aziz hui hain nishaniyan
daman wo tar tar hain jo chaak the kabhi
hum ne junun se pahle kiya tha tumhein pasand
achchha to hum bhi sahab-e-idrak the kabhi
ab dhup hai ki chhanw mile umr ho gai
mausam mizaj-e-dost ke chaalak the kabhi
Ghazal
KHush-rang kis qadar KHas-o-KHashak the kabhi
Akbar Ali Khan Arshi Zadah