KHush-rang hai gul se gul-e-ruKHsar tumhaara
raihan se siwa KHat hai numudar tumhaara
matlub ho tum dil hai talabgar tumhaara
ye aaina hai tishna-e-didar tumhaara
yusuf ko kabhi muft bhi leti na 'zuleKHa'
nazzara jo karti sar-e-bazar tumhaara
daman ka bhi bosa na liya fart-e-adab se
ab tak nahin ye banda gunahgar tumhaara
garmi se jo KHurshid-e-qayamat ki jalenge
yaad aaega ye saya-e-diwar tumhaara
ushshaq ke sajdon ka bhala zikr hi kya hai
hindu-o-musalman hai parastar tumhaara
tuti ki tarah kyun na suKHan-sanj ho 'ahqar'
hai samne aaina-e-ruKHsar tumhaara
Ghazal
KHush-rang hai gul se gul-e-ruKHsar tumhaara
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar