اردو हिंदी
KHush-rang aasman uDa le gai hawa | Shaahi Shayari
KHush-rang aasman uDa le gai hawa

Ghazal

KHush-rang aasman uDa le gai hawa

Naz Quadri

;

KHush-rang aasman uDa le gai hawa
KHushbu ka saeban uDa le gai hawa

kanTe ulajh ke daman-e-hasti se rah gae
phulon ki dastan uDa le gai hawa

aankhon mein ab chamakte dar-o-baam hain kahan
KHwabon ka wo makan uDa le gai hawa

dil ke talluqat ki KHushbu kahin nahin
marbut KHandan uDa le gai hawa

be-samt zindagi meri be-samt hi rahi
manzil ka har nishan uDa le gai hawa

thi jis ke dam se jalwa-e-tahzib-e-nau yahan
kab ka wo KHak-dan uDa le gai hawa

qismat se aa gae the hum ahl-e-sitam ke hath
wo tir wo kaman uDa le gai hawa

tufan se khelti hui kashti guzar gai
har chand baadban uDa le gai hawa

zahir hua jo matla-e-dil par yaqin ka nur
pal bhar mein har guman uDa le gai hawa

badla tha jin se 'naz' mera lahja-e-ghazal
wo tarz wo bayan uDa le gai hawa