KHush nahin aae bayaban meri virani ko
ghar baDa chahiye is be-sar-o-samani ko
Dhaal dun chashma-e-pur-harf ko aaine mein
apni aawaz mein rakh dun teri hairani ko
jada-e-nur ko Thokar pe sajata hua main
dekhta rahta hun rangon ki pur-afshani ko
sar-e-sahra meri aankhon ka talatum jaga
mauja-e-reg ne sarshaar kiya pani ko
sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaran hi to hai
jis ne tabinda rakha hai meri peshani ko
tujh se bhi kab hui tadbir meri wahshat ki
tu bhi muTThi mein kahan bhench saka pani ko
sard mausam ne ThiThurte hue suraj se kaha
chadar-e-abr to hai Dhanp le uryani ko
'shahryar' apne KHarabe pe hukumat hai meri
koi mujh sa ho to samjhe meri sultani ko
Ghazal
KHush nahin aae bayaban meri virani ko
Ahmad Shahryar