اردو हिंदी
KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya | Shaahi Shayari
KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya

Ghazal

KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya

Shakeel Badayuni

;

KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya
KHali hi sahi meri taraf jam to aaya

kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigham to aaya

apnon ne nazar pheri to dil tu ne diya sath
duniya mein koi dost mere kaam to aaya

wo subh ka ehsas ho ya meri kashish ho
Duba hua KHurshid lab-e-baam to aaya

log un se ye kahte hain ki kitne hain 'shakil' aap
us husn ke sadqe mein mera nam to aaya