KHush hain bachche nashta maujud hai
ghar mein khana raat ka maujud hai
tum chale jaoge to dekhenge hum
kya nahin hai aur kya maujud hai
baat meri tum samajh sakte nahin
ghar mein kya koi baDa maujud hai
dil dhaDakta hai tumhaare nam par
aaj bhi ye silsila maujud hai
wasta dunga na apne pyar ka
jaana hai to rasta maujud hai
mujh ko tana bewafai ka na den
aaKHiri KHat aap ka maujud hai
baat jo us mein nahin banti miyan
dusra bhi qafiya maujud hai

Ghazal
KHush hain bachche nashta maujud hai
Khalid Mahboob