KHush bahut phirte hain wo ghar mein tamasha kar ke
kaam nikla to hai un ka mujhe ruswa kar ke
rok rakhna tha abhi aur ye aawaz ka ras
bech lena tha ye sauda zara mahnga kar ke
is taraf kaam hamara to nahin hai koi
aa nikalte hain kisi sham tumhaara kar ke
miT gai hai koi muDti hui si mauj-e-hawa
chhup gaya hai koi tara sa ishaara kar ke
farq itna na sahi ishq o hawas mein lekin
main to mar jaun tera rang bhi maila kar ke
saf-o-shaffaf thi pani ki tarah niyat dil
dekhne walon ne dekha ise gadla kar ke
shauq se kijiye aur der na farmaiyega
kuchh agar aap ko mil jaega aisa kar ke
yun bhi sajti hai badan par ye mohabbat kya kya
kabhi pahnun isi malbus ko ulTa kar ke
mujh se chhuDwae mere sare usul us ne 'zafar'
kitna chaalak tha mara mujhe tanha kar ke
Ghazal
KHush bahut phirte hain wo ghar mein tamasha kar ke
Zafar Iqbal