KHurshid-ruKHon ka samna hai
shabnam-sifat aabru hawa hai
dil zaKHmi-e-ishq hai saza hai
bhar dun jo namak to phir maza hai
ab to dil us par aa gaya hai
achchha hai bura hai ya bhala hai
bainnul-aad mein aadmi hai
duniya ek beach ki sira hai
aisi hai malahat us ke munh par
ruKHsar ka sabza lo naya hai
iksir hai dil ki KHaksari
kushta ho jo nafas-e-kimiya hai
munim na kar eatibar-e-daulat
iqbaal ka qalb la-baqa hai
wo dil na raha ja naz uThaun
main bhi hun KHafa jo wo KHafa hai
kam hai jo sitam ho tujh par ai dil
be-rahm se aur mil saza hai
dil tum ko to phir kisi din
pyar koi tum se bhi siwa hai
achchhi nahin ye KHalish raqibo
kanTe bo kar koi phala hai
hum dekhen maze raqib luTe
yun us se bhi to kya maza hai
dam sine se kyun nahin nikalta
kya jism-e-nazar KHar-e-pa hai
daulat se kabhi na ser honge
shahon ko faqir ki dua hai
chhupta nahin koi apne dil mein
aankhon mein wahi khaTak raha hai
is ranj mein bhi nibah denge
apna abhi itna hausla hai
ai 'bahr' ghazal kahi jo tum ne
ye tarz-e-kalam 'mir' ka hai
Ghazal
KHurshid-ruKHon ka samna hai
Imdad Ali Bahr