KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya
taswir-e-rozgar se dil hai udas kya
shohrat ki gard KHwab ke tufan ghamon ki dhul
in ke siwa hai aur zamane ke pas kya
TuTa na zor-e-gham na zamane ka sar jhuka
niklegi wasl-e-yar se dil ki bhaDas kya
hum ko kitab-e-zist ka har bab hifz hai
ek bab-e-gham ka sirf paDhen iqtibas kya
nikle hain zahr karb mein bujh kar tamam lafz
gholen subu-e-sher mein gham ki miThas kya
jin ki nazar mein hech hai taj-e-hunar 'naim'
un ke huzur main kya meri iltimas kya
Ghazal
KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya
Hasan Nayeem