KHurshid ki beTi ki jo dhupon mein pali hai
tahzib ki diwar ke sae mein khaDi hai
dhundla gae ranjish mein us aawaz ke shishe
barson jo samaat se ham-aghosh rahi hai
ab tak hai wahi silsila-e-KHana-KHarabi
ai ishq-e-sitam-pesha teri umr baDi hai
hum aaen to ghairon ki tarah bazm mein baiThen
ai sahab-e-KHana teri ye shart kaDi hai
Daswaya hai phunkarte sanpon se badan ko
tab ja ke ye ek daulat-e-fan hath lagi hai
naqqad ke hathon mein hain tanqid ke teshe
sahmi hui taKHliq kitabon mein paDi hai
Ghazal
KHurshid ki beTi ki jo dhupon mein pali hai
Zubair Rizvi