KHumar-e-tishna-labi mein ye kaam kar aae
hum apni pyas ko dariya ke nam kar aae
tumhaare lams ka sandal mahakne wala hai
KHabar ye hum bhi daraKHton mein aam kar aae
use gale se lagana to KHwab Thahra hai
yahi bahut hai jo us se kalam kar aae
tumhaari yaad ki chhanw mein din guzara hai
tumhaare zikr ke sae mein sham kar aae
kuchh aur ho na saka hum se is jahan mein magar
yahi bahut hai mohabbat mein nam kar aae

Ghazal
KHumar-e-tishna-labi mein ye kaam kar aae
Noman Farooq