KHumar-e-shab mein tera nam lab pe aaya kyun
nashe mein aur bhi the main hi laDkhaDaya kyun
main apne shahr ki har rahguzar se puchhta hun
paDa hua hai yahin wahshaton ka saya kyun
koi to dard hai aisa jo khinchta hai use
mere hi dil ki taraf lauT kar wo aaya kyun
kisi nigah ka main husn-e-intiKHab na tha
to zindagi ne mujhe hi phir aazmaya kyun
kisi diye se gila bhi karen to kaise karen
parae ghar ki munDeron pe jagmagaya kyun
mujhe sambhaal ke rakhna tha ai nigar-e-watan
gali gali mein lahu ki tarah bahaya kyun
main gir paDa tha kahin bebasi ke aalam mein
mujhe uTha ke kisi ne gale lagaya kyun
Ghazal
KHumar-e-shab mein tera nam lab pe aaya kyun
Fazil Jamili