KHum na ban kar KHud-gharaz ho jaiye
misl-e-saghar aur ke kaam aaiye
abr-e-rahmat sunte hain nam aap ka
KHaksaron par karam farmaiye
aap aahu-chashm hain aahu nahin
hum se wahshat ki na lije aaiye
sabr ruKHsat ho to jaane dijiye
be-qarari aae to Thahraiye
jauhar-e-tegh-e-nigah khul jaega
munh na mere zaKHm ka khulwaiye
dil mein hai dikhlaiye tasir-e-ishq
ThanDi sanson se unhen garmaiye
sard aahen bharte hain jab hum 'nasim'
kahte hain wo ThanDe ThanDe jaiye
Ghazal
KHum na ban kar KHud-gharaz ho jaiye
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi