KHulus-o-fikr ki ye raushni kahan tak ho
main sochta hun teri chandni kahan tak ho
juda rahogi magar kis liye kidhar kab tak
mujhe pata to chale tum meri kahan tak ho
kahan zamin kahan aasman kahan hum tum
yahi hai farq to phir dosti kahan tak ho
lahu lahu bhi hua pairahan nazar mein raha
jo Thes dil ko lagi wo lagi kahan tak ho

Ghazal
KHulus-o-fikr ki ye raushni kahan tak ho
Jawed Manzar