اردو हिंदी
KHulus-e-sajda har ek haal mein muqaddam hai | Shaahi Shayari
KHulus-e-sajda har ek haal mein muqaddam hai

Ghazal

KHulus-e-sajda har ek haal mein muqaddam hai

Sharib Lakhnavi

;

KHulus-e-sajda har ek haal mein muqaddam hai
wahin pe dil bhi jhuka de jahan jabin KHam hai

hazar jalwon se pur-nur bazm-e-alam hai
magar charagh-e-mohabbat ki raushni kam hai

hamare haal-e-pareshan pe muskura dena
baDa latif ye andaz-e-pursish-e-gham hai

hayat-e-ishq umidon pe kaTne walo
KHabar bhi hai ki umidon ki zindagi kam hai

qafas mein the to chaman ke liye taDapte the
chaman mein aae to ahl-e-chaman ka matam hai

bashar ke dar pe jabin-e-bashar ka jhuk jaana
qasam KHuda ki ye tauhin-e-ibn-e-adam hai

wo dil chura ke nigahon se chhup gae 'shaarib'
nigah-o-dil se magar fasla bahut kam hai