KHulus-e-ijz-o-bandagi rahin-e-dar nahin to kya
haram se be-niyaz hai agar meri jabin to kya
yahan to bund bund ko nazar taras taras gai
milen agar bahisht mein sharab-o-angbin to kya
numud-e-zindagi wahi KHurush-o-hamhama wahi
ujaD gae makan to kya badal gae makin to kya
sharar-ba-kaf nujum bhi rida-e-gul bhi KHun-chakan
nikhar gaya falak to kya sanwar gai zamin to kya
suKHan to man ki mauj hai kaha jo lab pe aa gaya
zamana dad de na de bashar hai nukta-chin to kya
Ghazal
KHulus-e-ijz-o-bandagi rahin-e-dar nahin to kya
Manzoor Ahmad Manzoor