khulti hi nahin aankh ujalon ke bharam se
shab-rang hua jaun main suraj ke karam se
tarkib yahi hai use phulon se Dhaka jae
chehre ko bachana bhi hai patthar ke sanam se
ek jhil sarikhi hai ghazal dasht-e-adab mein
jo dur thi jo dur rahi dur hai hum se
aaKHir ye khula wo sabhi tajir the guhar ke
jin ke bhi marasim the mere dida-e-nam se
kyun kar wo kisi mil ke patthar pe Thahar jae
kyun rind ki nisbat ho tere dair-o-haram se
ye mere taKHallus ka asar mujh pe hua hai
ab yaad nahin apna mujhe nam qasam se
Ghazal
Khulti hi nahin aankh ujalon ke bharam se
Mayank Awasthi