khulti hai guftugu se girah pech-o-tab ki
par kis se khul ke baat karen iztirab ki
kafi nahin hai chashm-e-tamasha ko rang-e-gul
laen kahan se zaKHm mein KHushbu gulab ki
apni barahnagi ko bacha tez dhup se
kirnon mein bu hai jalte hue aaftab ki
kuchh main shajar se TuT ke be-KHanuman hua
han kuchh hawa ne bhi meri miTTi KHarab ki
ek umr ho gai hai ki main jaankani mein hun
aisi Thahar gai hai ye saat azab ki
ehsas-e-tirgi hai to suraj uchhaal de
warna dua na mang yahan inqilab ki
mahkum bastiyon se sarakne lagi hai dhup
wo ahd hun ki jis ne shafaq be-naqab ki
bijli chali gai to wo aankhon mein rah gaya
ab chhu ke paDh raha hun ibarat kitab ki
'shahid' kahan se ho ke guzarti hai aab-ju
rangat tamam surKH hai kyun sath-e-ab ki

Ghazal
Khulti hai guftugu se girah pech-o-tab ki
Saleem Shahid