khulta nahin hai raaz hamare bayan se
lete hain dil ka kaam hum apni zaban se
kya lazzat-e-visal ada ho bayan se
sab harf chipke jate hain meri zaban se
mashhur raaz-e-ishq hai kis ke bayan se
meri zaban se ki tumhaari zaban se
fitna bana zamin pe har zarra KHak ka
nikle hain bahr-e-sair wo jis dam makan se
us din se mujh ko nind na aai tamam umr
ek shab mili thi aankh tere pasban se
ye KHak mein milae to wo ho sitam-sharik
mujh ko zamin se lag unhen aasman se
lena sambhaalna ki mere hosh uD chale
aata hai koi mast qayamat ki shan se
mujh se nazar mila ke tum abru mein bal na do
sidha chalega tir na TeDhi kaman se
bazar-e-ishq mein hain bahut dil jagah jagah
dekhen wo mol lete hain kis ki dukan se
shorida-sar wo hun ki use sar se toD dun
gar sang-e-hadsa bhi gire aasman se
arzan kare faroKHt agar mai-farosh-e-ishq
lene lagen farishte bhi us ki dukan se
guzri hai aazmaish-e-mahr-o-wafa mein umr
fursat mujhe mili na kabhi imtihan se
dil bhi bacha jigar bhi bacha KHair ho gai
tir-e-nigah par hua darmiyan se
main tum ko nagawar hun dil mujh ko nagawar
tum mujh se tang aur hun main tang jaan se
han han tera raqib se be-shak hai rabt-zabt
rutba yaqin ka hai ziyaada guman se
mehr-o-wafa ka nam hai ab baat baat par
ye sun liya hai aap ne kis ki zaban se
kaisa khila hai phul jab aaya bahaar par
puchhe to koi lutf-e-jawani jawan se
danista aate-jaton se laDta hai raat din
phir ho paDi thi aaj tere pasban se
is KHub-ru ko bazm-e-hasinan mein dekhiye
karta hai aan-ban baDi aan-tan se
ai 'dagh' is ki KHair manata hai aadmi
koi aziz baDh ke nahin apni jaan se
Ghazal
Khulta nahin hai raaz hamare bayan se
Dagh Dehlvi