khuli wo zulf to pahli hasin raat hui
uThi wo aankh to taKHliq-e-kaenat hui
KHuda ne gaDh to diya aalam-e-wajud magar
sajawaTon ki bina auraton ki zat hui
gile bahut the magar jab nazar nazar se mili!
na mujh se baat hui aur na un se baat hui
dil-e-tabah ko kuchh aur kar gai zaKHmi!
wo ek nigah jo labrez-e-iltifat hui
hayat o maut ki ghaarat-gari ka haal na puchh
jo maut na ban saki wo 'adam' hayat hui
Ghazal
Khuli wo zulf to pahli hasin raat hui
Abdul Hamid Adam