khuli thi aankh samundar ki mauj-e-KHwab tha wo
kahin pata na tha us ka ki naqsh-e-ab tha wo
ulaT rahi thin hawaen waraq waraq us ka
likhi gai thi jo miTTi pe wo kitab tha wo
ghubar-e-rang-e-talab chhaT gaya to kya dekha
sulagti ret ke sahra mein ek sarab tha wo
sab us ki lash ko ghere hue khaDe the KHamosh
tamam tishna sawalat ka jawab tha wo
wo mere samne KHanjar-ba-kaf khaDa tha 'zeb'
main dekhta raha us ko ki be-naqab tha wo
Ghazal
Khuli thi aankh samundar ki mauj-e-KHwab tha wo
Zeb Ghauri