khuli khiDki se din bhar jhankta hun
main har chehre mein tujh ko DhunDhta hun
tujhe main kis tarah pahchan paun
ki apne aap se na-ashna hun
jahan insan patthar ho chuke hain
main us basti mein kaise ji raha hun
jahan se kal mujhe kaTa gaya tha
wahin se aaj main phir ug raha hun
main is sangin sannaTe mein 'qaem'
kisi tufan ki aahaT sun raha hun
Ghazal
Khuli khiDki se din bhar jhankta hun
Qayem Naqvi