اردو हिंदी
Khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi | Shaahi Shayari
khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi

Ghazal

Khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi

Akram Naqqash

;

khuli aur band aankhon se use takta raha main bhi
teri duniya ke pichhe bhagta phirta raha main bhi

meri aawaz pichhli raat tujh tak kaise aa pati
kisi gahre kuen mein raat bhar sota raha main bhi

ba-zahir dekhti aankhen ba-zahir jagti ruhen
ba-zahir in sabhon ke sath hi jita raha main bhi

main hun is karsaz-e-be-kasan ki dastaras mein yun
wo jis sanche mein bhi Dhaala kiya Dhalta raha main bhi

badan malbus mein shoala sa ek larzan qarin-e-jaan
dil-e-KHashak bhi shoala hua jalta raha main bhi

hai jis rah-e-yaqin par gamzan pa-e-KHirad har-dam
usi rah-e-guman par muddaton chalta raha main bhi