khuli aankhon se sapna dekhne mein
ganwa di umr rasta dekhne mein
baha kar le gai ek mauj-e-dariya
bahut the mahw dariya dekhne mein
hawa kucha-ba-kucha ro rahi hai
saja hai qarya qarya dekhne mein
jo barten to khulen sab bhed us ke
hasin lagti hai duniya dekhne mein
darichon se ye dil-awez manzar
bure lagte hain tanha dekhne mein
nikal aata hai kaDwa zaiqe mein
jo phal hota hai miTha dekhne mein
haqiqat mein wo aisa to nahin hai
nazar aata hai jaisa dekhne mein
azab-e-gumrahi mein mubtala hain
bhaTak jate hain rasta dekhne mein
qaza aksar namazen ho gai hain
nishan-e-samt-e-qibla dekhne mein
hum ehram-e-hawas pahne hue hain
labaada hai ye ujla dekhne mein
wahin aksar shanawar Dubte hain
jo hain payab dariya dekhne mein
yahi hai laghzish-e-binai 'mohsin'
ki ho mashghul duniya dekhne mein
Ghazal
Khuli aankhon se sapna dekhne mein
Mohsin Ehsan