khuli aankhon mein dar aane se pahle
nazar aao nazar aane se pahle
nahin tha mujh ko zoam-e-parsai
koi ilzam sar aane se pahle
hamein dar-pesh thi naql-e-makani
tera hukm-e-safar aane se pahle
gale milti hai mujh se be-ghari bhi
gali mein rose ghar aane se pahle
hua karte hain raste bhi rukawaT
guzar ja rahguzar aane se pahle
nazar-andaz kar deti thi aankhen
mujhe tujh sa nazar aane se pahle
bahut aasan tha kar-e-hunar bhi
mere hathon hunar aane se pahle
kabhi to bar-war ho jae 'ahmad'
dua bab-e-asar aane se pahle
Ghazal
Khuli aankhon mein dar aane se pahle
Aftab Ahmad