khulegi us nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
kiya jata hai pani mein safar aahista aahista
koi zanjir phir wapas wahin par le ke aati hai
kaThin ho rah to chhuTta hai ghar aahista aahista
badal dena hai rasta ya kahin par baiTh jaana hai
ki thakta ja raha hai ham-safar aahista aahista
KHalish ke sath is dil se na meri jaan nikal jae
khinche tir-e-shanasai magar aahista aahista
hawa se sar-kashi mein phul ka apna ziyan dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar aahista aahista
Ghazal
Khulegi us nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
Parveen Shakir