اردو हिंदी
Khule hain dasht mein nafrat ke phul aahista aahista | Shaahi Shayari
khule hain dasht mein nafrat ke phul aahista aahista

Ghazal

Khule hain dasht mein nafrat ke phul aahista aahista

Asad Badayuni

;

khule hain dasht mein nafrat ke phul aahista aahista
saron tak aati hai qadmon ki dhul aahista aahista

abhi kuchh din lagenge mausamon ka bhed pane mein
badal jaenge yaron ke usul aahista aahista

ziyan ka koi rishta umr-bhar qaem nahin rahta
so miT jata hai har shauq-e-fuzul aahista aahista

mujhe jurm-e-hunar-mandi ka qail hone do pahle
main har ilzam kar lunga qubul aahista aahista

ye dharti ek din banjar zamin ban jaegi jaanan
gulabon ki jagah lenge babul aahista aahista