khula ye raaz ki ye zindagi bhi hoti hai
bichhaD ke tujh se hamein ab KHushi bhi hoti hai
wo phone kar ke mera haal puchh leta hai
namak-haramon ki category bhi hoti hai
mizaj puchhne wale maza bhi lete hain
kabhi jo dard mein thoDi kami bhi hoti hai
yahi to kholti hai dushmani ka darwaza
KHarab chiz miyan dosti bhi hoti hai
tum apne qadmon ki raftar par bahut KHush ho
ye rail-gaDi kahin par khaDi bhi hoti hai
Ghazal
Khula ye raaz ki ye zindagi bhi hoti hai
Haseeb Soz