khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se
hawa-e-shauq ne ki hai yahan pe daq phir se
pukarta hai mujhe kaun mere mazi se
ki aaj ruKH pe mere chha gai shafaq phir se
KHafa KHafa se hain aaKHir janab-e-naseh kyun
kisi ne kar diya kya aaj zikr-e-haq phir se
kisi se ruTh gae ya kisi ka dil toDa
jabin pe aa gaya kyun aap ki araq phir se
miyan-e-dil koi leti hai Tis angDai
wahi hai ranj wahi gham wahi qalaq phir se
na niklo chandni raaton mein kitni bar kaha
hua hai chand ke chehre ka rang faq phir se
bas ek tajraba kafi hai zindagi ke liye
paDha na jaega hum se wahi sabaq phir se
yahi nizam-e-zamana yahi taghayyur hai
jo sahl hai wahi ho jaega adaq phir se
kahin qarib hi baadal baraste hain 'alok'
hawaen lai hain KHunki ki kuchh ramaq phir se
Ghazal
Khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se
Alok Yadav