khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka
main Darta hun kahin parda na phaT jae haqiqat ka
kahan le jaega yarab samand-e-tund wahshat ka
ki pichhe rah gaya koson doraha nar-o-jannat ka
ghubar-e-rang-e-parran hai pharera teri rayat ka
shikast-e-qalb-e-ashiq ghalghala hai teri nusrat ka
kiya hai qasd kis ke kangur-e-aiwan-e-rifat ka
ki thama hai tere nale ne paya arsh-e-himmat ka
jhuka di qudsiyon ne be-takalluf gardan-e-taat
zahe-rutba kaf-e-KHak-e-dar-e-wala-e-daulat ka
khule kis tarah parda parda-e-gosh-e-tahayyur par
ki be-saut-o-sada hai parda saz-e-bazm-e-wahdat ka
sanam taq-e-haram se dafatan niche utar aae
adab tha bas ki wajib dost ke qasid ke talat ka
hijab-e-tan kasad-e-raunaq-e-kala-e-yusuf hai
taraddud kya hai zindan-KHana-e-hijran se hijrat ka
salatin ko nahin pata mizaj un ke faqiron ka
ki anqa-e-falak-parwaz hai qaf-e-qanaat ka
lab-e-asnam hain qand-e-suKHan se sar-ba-mohr ab tak
KHamoshi se maza puchhe koi teri fasahat ka
maze milte hain kya kya ishq ke lazzat-shanason ko
hamein daman-e-zaKHm-e-dil ewaz hai KHwan-e-neamat ka
tere hairat-kade mein farsh hai aaina kya o but
ki KHasan-e-dar-e-daulat ko hi khaTka hai zillat ka
nigah be-his KHat-e-saghar ki surat hai ki saqi ne
diya hai mardum-e-chashm-e-jahan ko jam hairat ka
talash-e-jalwa-e-mani mein Takraya kiye sajde
na TuTa dast-e-KHushk-e-zohd se but-KHana surat ka
qayamat-e-barhami Dali to hijran ki ghaDi guzri
zamin hai gard shisha aasman shisha hai saat ka
buton par lat mari mehr-o-mah se pher lin aankhen
'bayan' allah re ghamza mere husn-e-aqidat ka
Ghazal
Khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka
Bayan Meeruti